Ateeb Jazal Best Urdu Shayari Collection in Urdu Texts and Images
مجھ سے اونچا تیرا قد ہے، حد ہے" اور "مجھے یقین دلا حالت گماں سے نکال"
Urdu Shayari and Nazam Poetry by Ateeb Jazal, “Mujh se uncha tera qad, Hadd hai” and “Mujhe yaqeen dila haalat guma se nikaal”. These two are famous Urdu Shayari poetry collection of “Ateeb Jazal” in urdu images and roman urdu texts. Please share and comments if you like this collection. Lets start the post:
Table of Contents
Mujh se uncha tera qad, Hadd hai in urdu ( مجھ سے اونچا تیرا قد ہے، حد ہے )
Mujh se ouncha tera qadd hai, hadd hai
Phir bhi seenay mein hasad hai? hadd hai
Merey to lafz bhi kori ke nahi
Tera nuqta bhe sanad hay, hadd hai
Teri har baat hai sir aankhon par
Meri har baat he radd hai, hadd hai
Ishhq meri hi tamanna to nahi
Teri niyat bhi to badd hai, hadd hai
Zindagi ko hai zaroorat meri
Aur zaroorat bhi ashadd hai, hadd hai
Be tahasha hain setaaray lekin
Chaand bas aik Adad hai, hadd hai
Aashk aankhon se yeh keh kar nikla
Yeh terey zabt ki hadd hai? hadd hai
Rokkk satke ho to roko “Jazal”
Yeh jo saanson ki rasadd hai, hadd hai
Ateeb Jazal
Download Above Urdu Shayari Images (15 downloads)
Mujhe yaqeen dila haalat guma se nikaal in urdu- مجھے یقین دلا حالت گماں سے نکال
Mujhe yaqeen dila haalat guma se nikaal
Gham hayaat ko barhatay hue zayan se nikaal
Phir is ke baad jahan to kahe guzaron ga
Bas aik baar zara karb jism o jaan se nikaal
Mein ain –apne hadaf par lagun ga, shart laga
Zara sa kheanch mujhe aur phir kaman se nikaal
Mein apne jism ke andar nah dafan ho jaoon
Mujhe wujood ke girtay hue makan se nikaal
Mein aik shula bad-mast hi sahi lekin
Mein jal raha hon mujhe mere darmiyan se nikaal
Ae daaliyon pay naye phal ugane wali dua
Maray shajar ko bhi is haalat khizaa se nikaal
Bulaa rahi hai tujhye bhi hawas ki shehzadi
To apne aap ko is lamha rawan se nikaal
Jisay bahisht mein aadam neh chakh liya tha “Ateeb”
Mein kha raha hon wohi phal, mujhe yahan se nikaal
اطیب جازل
2 Comments